Thursday, September 9, 2010


Is barish mein mujhe tera pyar bhi
Kachchi mitti ki maanind laga
Ke jaise chand lamhon ki inayaton ke baad
Zameen ko sara saal pyasa rehna hai.

Barishon ka mausam hai
Rooh ki fizaaon mein
Ghamzada hawaaein hain
Be-sabab udaasi hai
Is ajeeb mausam mein
Be-qarar raaton ki
Be-shumaar baatein hain
Un-ginat fasane hain
Jo bohat khamoshi se

koi chupke chupke kehta hai
koi geet likho meri ankhon par
koi sher kaho mere lafzon par
in khushboo jesi baton par

chup chaap main sunta rehta hon
phir in jheel si gherii ankhon par
ik taza ghazal likh deta hon
in phool jesi baton par
aik sher niya keh deta hon

yeh geet, ghazal yeh sher mere
sab us k piyar ka darpan hain
sab us k roop ka darshan hain


Raat ki tanhai me unko awaaz diya karte hai
Raat me sitaron se unka zikre kiyakarte hai,
Woh ayen ya na ayen humare khwabon me,
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aap Gairon ki baat karte hain,
humne Apno ko Aajmaya hai!
log Katoan se bachkar chalte hain,
humne Fooloan se Jakhm khaya hai!!
hai….

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yaad aane wale yaad aae ja rahe
hain,Mere khyalon ki duniya par chae
jaa rahe hain.Hum kuch keh rahe hai
par wo chup hai,Bas mera msg padh
kar muskurae ja rahe hai..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

In aakhon mein aasu aaye na hote..
Wo jo mud mudkar yu muskuray na hote..
Unke jane ke baad ye Gam hota hai…
Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah
dono khamosh par baat karli…
Mohabbat ki fiza ko jab khush paya, in
aankhon ne roh roh ke barsaat kar li

No comments:

Post a Comment