Thursday, September 9, 2010


Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..

Lakin wo tera wada jhota bhi nahi lagta..

Milta hai sakoon dil ko us yaar ke koche mai..

Har roz magar jana acha nahi lagta..

Dekha hai tujhe jab se bechain bohut hai dil..

Kehne ko koi tujh se rishta bhi nahi lagta

Kyu Mere Liye Koi Intzar Karega,
Apni Zindgi Mere Liye Bekrar Karega.
Me Kya Hu Meri Hasti Hi Kya Hai,
Kya Dekhkar Humse Koi Pyar Karega !!

Aankh Me Nasha Diya Karte Hai Hum,
Sabki Nende Chura Liya Karte Hai Hum,
Ab Se Jab-Jab Palke Jhapke,
Samajh Lena Tab-Tab Yaad Kiya Karte Hai Hum !!

Raat Ke Karwaton Ko Badgumani Hai,
Jo Bhi Chahe Kar Le Manmani Hai,
Sawarata Hai Ishq Raat Ki Julfon Mai,
Pyaar Se Liptne Ki Chahat Hi Jindagani Hai !!

Uski Dosti Me Ye Naubat Aa Gai,
Thandi Hawa Bhi Hume Jala Gai,
Hawa Kehti Hai Tum Yaha Taraste Hi Reh Gaye,
Mein Tumhare Dost Ko Chhoo Kar Bhi Aa Gai!!

Tum Me aur Meri Tammana Me Ek Hi Fark Tha
Tum kabhi Meri Na Ho Saki aur Me kabhi tammana ka na ho saka
aisha pather sa ho gaya me na jee Bhar Ke hash saka na ro saka
tum me he thi koi baat ae yaar
tum kitno ke ho gaye me kisi ka na ho saka
tumne pero liye sab khushiya daman me
aur ek me ke gum bhi dhaage me na piro saka

Sach Kehte Hain Ye Shayar,
Yeh Haseen Jinke Dil Mein Rehte Hain,
Ye Unhi Ki Jaan Lete Hain.

Unki Aankhe Hume Apni Zindagi Lagti Hai
Unki Saanse Hume Apni Bandagi Lagti Hai
Ashiqi Mein Unki Humara Haal Kuch Iss Tarah Hua Hai
Ki Ab Toh Unki Nafrat Bhi Humme Mohabbat Si Lagti Hai

Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Din Ghoote Ghoote, Shamein Dhuaan Dhuaan Ho Gayi
Aur Raatein, Intezar Ki Tere Dastan Ho Gayi

Kahan Se Dhundhkar Layun Sakoon Dil Ka Apne
Zindagi Jab Dard Ki Ek Dastan Ho Gayi

Bewafa Bankar Kaise Jee Lete Hain Log Hanskar
Is Raj Ko Jaan-ne Mein Hi Hasti Fanna Ho Gayi

Main Kab Tak Bharm Mein Rakhun Khud Ko
Duniya Kehne Lagi Ki Tu To Bewafa Ho Gayi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Gharaunde Rait Ke Kabhi Na Banana Yaaro
Dekh Ke Surkh Kamal, Keechad Me Na Jana Yaaro

Mohabaat To Ek Khubsurat Dokha Hai
Bhul Kar K Bhi Ye Dhokha Na Khana Yaaro

Humne To Galti Ye Ki Unse Mohabaat Karke
Ye Galti Tum Na Dohrana Yaaro

Wafa Ka Sila Yoon Bewafayi Se Mila
Kaisa Jakham meine Khaya Hai Yaroo



Kiya faisla karon us ke bare mai ab..

Wo ghair nahi lakin Apna Bhi Nahi Lagta..!!

Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.

Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein

Is barish mein mujhe tera pyar bhi
Kachchi mitti ki maanind laga
Ke jaise chand lamhon ki inayaton ke baad
Zameen ko sara saal pyasa rehna hai.

Barishon ka mausam hai
Rooh ki fizaaon mein
Ghamzada hawaaein hain
Be-sabab udaasi hai
Is ajeeb mausam mein
Be-qarar raaton ki
Be-shumaar baatein hain
Un-ginat fasane hain
Jo bohat khamoshi se

koi chupke chupke kehta hai
koi geet likho meri ankhon par
koi sher kaho mere lafzon par
in khushboo jesi baton par

chup chaap main sunta rehta hon
phir in jheel si gherii ankhon par
ik taza ghazal likh deta hon
in phool jesi baton par
aik sher niya keh deta hon

yeh geet, ghazal yeh sher mere
sab us k piyar ka darpan hain
sab us k roop ka darshan hain


Raat ki tanhai me unko awaaz diya karte hai
Raat me sitaron se unka zikre kiyakarte hai,
Woh ayen ya na ayen humare khwabon me,
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aap Gairon ki baat karte hain,
humne Apno ko Aajmaya hai!
log Katoan se bachkar chalte hain,
humne Fooloan se Jakhm khaya hai!!
hai….

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yaad aane wale yaad aae ja rahe
hain,Mere khyalon ki duniya par chae
jaa rahe hain.Hum kuch keh rahe hai
par wo chup hai,Bas mera msg padh
kar muskurae ja rahe hai..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

In aakhon mein aasu aaye na hote..
Wo jo mud mudkar yu muskuray na hote..
Unke jane ke baad ye Gam hota hai…
Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah
dono khamosh par baat karli…
Mohabbat ki fiza ko jab khush paya, in
aankhon ne roh roh ke barsaat kar li

Wednesday, September 8, 2010

Subash Verma

Pal pal tum yaad aate ho
Pal pal mujhe tadpa te ho
Pal pal mein jeeti hou
Lekin har pal, jeeker bhi marti hou

Tumhare bina taanhai ko raasta mila
Har muskaan is pe guzar kar chala gya
Subah ho shaam, sirf ek saval pooch te hou
Tumhare bina, mein kyou zinda ra hou

Chalte Chalte, khuda ke kasam
De ke pyaar ka vaasta, na juda honge hum
Is duniya mein tho nahi rahe hum sanam
Isi liye jab hum milenge
saath lenge dubara janam

Dosti To Sirf Ek Ittefaq Hai,
Ye To Dilon Ki Mulakat Hai,
Dosti Nahi Dekhti,
Din Hai Ki Raat Hai,
Isme To Sirf Wafadari Aur Jasbaat Hota Hai!

Jaise Taron Ke Sath Aakash Hai
Waise Sache Dosti Ke Sath Bishvas Hai
Dil Ki Nazron Se Dekhoge Agar
Hum Har Waqkt Aapke Pass Hai

Tumse Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga,
Tere Saath Guzra Har Lamha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Tumhe Bhulne Ki Koshish Ki,
Ae Dost Tu Dil Ke Aur Paas Aane Laga.

Ek Phool Bhi Aksar Baag Saja Deta Hai,
Ek Hi Sitara Sansar Chamka Deta Hai.
Jahan Duniya Bhar K Rishte Bhi Kaam Nahi Aatey,
Wahi Ek Dost Jindagi Bana Deta Hai.

Mat Kar Dost Apni Girl Friend Se Itni Mohabbat,
Woh Aankhon Se War Karti Hai,
Maine Dekha Hai Uski Aankhon Me,
Woh Mujhse Bhi Pyar Karti Hai

Aapki Dosti Ki Ek Nazar Chahiye;
Dil Hai Beghar Use Ek Ghar Chahiye
Bas Yun Hi Saath Chalte Raho Ae Dost;
Yeh Dosti Hume Umar Bhar Chahiye

Dost Ko Bhulana Galat Hai,
Unhi Ka Zindagi Bhar Saath Hai.
Agar Bhul Gaye To Khali Haath Hai,
Aur Agar Saath Rahe To Zamana Kahega,
Kya Baat Hai!

Hum To Sirf Aapki Baat Kiya Karte Hain,
Har Dhadkan Pe Aapka Naam Liya Karte Hain,
Aap Ho Hume Apni Jaan Se Bhi Pyare,
Tabhi To Waqt Bewaqt Yaad Kiya Karte Hain.

Phoolon Mein Gulab Achhaa Lagta Hai,
Sapno Mein Khwab Achhaa Lagta Hai,
Aap Hamein Sms Bhejte Rahe,
Hame Aapka Yeh Andaz Achaa Lagta Hai.

Chehre Par Sweet Smile Hai,
Hath Mein Rapchik Mobile Hai,
Mobile Par Sms Ki Zhakas File Hai,
To Fir Reply Na Karna Yeh Kya Bhav Khane Ki Nayi Style Hai?

Bahut Pyari Hai Awaz Tumhari
Banado Isse Qissmat Hamari
Mein Zindagi Mein Aur Kya Chahoon
Agar Mil Jaye Dosti Tumhari

Ye Dosti Ke Risthe Bhi Ajeeb Hote Hai
Sab Apne Apne Naseeb Hote Hai
Rehte Hai Jo Nighao Se Dur
Wahi Dil Ke Kareeb Hote Hai

Bhool Se Kabhi Hamein Bhi Yaad Kiya Karo,
Pyaar Nahi To Shikaayat Hi Kiya Karo,
Itna Bhi Geir Na Samjho Ki Baat Hi Na Kiya Karo,
Phone Nahi To Offliner Hi Diya Karo!!!

Yaadon ki nazrein tumpe hain,
Phulon ki mehek tumse hain,
Chaahat ki saans tere liye,
Harpal ki shayari bhi tere liye,
Ek saans to kuch bhi nahi,
Hazaar jeevan kaafi kam hain.

Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke
kyon ho jaata hun main hataash
tumhein udaas dekhke

chahak sa uthta hun main kyon
jab milne ki baari aati hain
par kyon milne baad ghanto
neend nahi aati hain

aankhein band karne se kyon
yaad tumhari aati hain
par jab khulti hain toh
kyon phir tu samne aati hain

aanso tere tapakte hain
to main kyon sisakta hun
jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun

jab bhi dekhta hun tumhe
bas yeh sochta hun
pucho tumse ya tumse kahun
rakhun dil mein ye baat ya keh dun

sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun
Main aisa kyon hun…

Subash

Naam unka shaan hai meri
Dil unka dhadkan hai meri
Ankhen unki surat hai meri
Hansi unki jaan hai meri

Kismat se mila hai humko ye mauka
Pyar mein unke mile na dhoka
Har pal unhe doon mein khushi
Bas yahi asha hai meri

Ankhein vo khole tho payin mujhe
Har dam har pal chahe mujhe
Bas vo hi pehchan hai meri
Milna unse kismat hai meri.

Jabse tumko dekha hai,
Ek leher si ooth rahi hai mann mein mere,
Kyu dil yeh mera bekaraar hai,
Kya yeh sirf mere dil ki pukaar hai,
Ya isi ka naam pyaar hai?

Tumhe dehkti hoon to lagta hai tum mere liye banaaye gaye ho,
Tum yaad karti hoon to lagta hai ke tum sirf mere khwab banaaye gaye ho,
Tumhe paane ke liye jaan dene ko mann karta hai,
Tumhari yaad mein dil baar baar aahe bhartaa hai,

Lagtaa hai ke main jaan gayi hoon ke pyar kya hotaa hai,
Par tum bhi yeh jaan lo sanam,
Woh tum hi ho jise mera dil baar baar pyar kartaa hai.

Pyaar ne pucha zindagi kya hai?
humne kaha tere bin kuch nahi.
usne fir pucha dard kya hai?
humne kaha jab tu sang nahi.

pyaar ne pucha mohabbat kaha hai?
humne kaha mere dil me kahi.
usne fir pucha khuda kaha hai?
humne ne kaha tujhme kahi.

pyaar ne pucha humse ishq kyu hai?
humne kaha usko bhi pata nahi
usne fir pucha itni bechaini kyu hai?
humne kaha isme kasoor mera nahi.

pyaar ne pucha aetbaar karoge mera?
humne kaha tumse badkar koi nahi.
usne fir pucha saath doge mera?
humne kaha kyu nahi kyu nahi!!…

Kuch alfazonka mukaddar hai shayeri,
ya izhar mohobbat ka mukam hai shayeri..

Sabdon ko dhago mein pirona hai shayeri,
ya kore kagaz per bhavna sajana hai shayeri…

Alfazonse saji ek sundar murat hai shayeri,
ya jasbaton ko benakab karna hai shayeri…

Bepanah pyaar dikhana hai shayeri,
ya lage zakhomo ka marahum hai shayeri..

Jalti shama ke saath mehfil roshan karna hai shayeri,
ya shayronki ek pehchan hai shayeri.

Main Apni Aap-beeti Kehta Hoon Gairon Ki Nahin,
Prem Insaan Ko Bhagwaan Bana Deta Hai.

Har pal intezaar karta hoon,
Ki tumhari aawaaz sun sakoon,
Kuch tumhare dil ki baat,
Kuch apna haal keh sakoon,
Jo kabhi kisi ne kisi ko na kiya ho,
Wo pyaar main tumhe de sakoon…


Aankhein Khuli Hoh Toh Chehra Aapka Hoh,
Aankhein Bandh Hoh Toh Sapnaa Aapka Hoh,
Humey Maut Ka Na Darr Na Khauff Hoga,
Agar Kafan Ki Jagah Dupatta Aapka Hoh.

Pyaara Sa Ek Ehsaas Hain Aap,
Harr Pal Humhare Paas Hain Aap,
Jiney Ki Ek Aas Hain Aap,
Mann Ka Ek Vishwaas Hain Aap,
Shayad Ish Liye Kuch Khaas Hain Aap.

Humhara Harr Lamha Churaa Liya Aap ney,
Aankhon Koh Ek Chaand Dikha Diya Aap ney,
Humey Zindagii Toh Dii Kissi Aur ney,
Par Itna De Kar Jeena Sikha Diya Aap ney.


Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahi
Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi

Usko zamane ne majboor is qadar kar diya
Ke meri kisi sada pe wo ruka hi nahi

Khuda se jholi phaila ke maanga tha usay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi

Har aik se poocha sabab uske na milne ka
Har aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahi

Main tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gaya
Aur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahi

Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nahi….


Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,

Ek aur sher sunata hoon——-

Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
aaj akele hain…dil sawaal karta hai…
Log to uske the, …kya khuda bhi uska tha????

Jihdi Khushi Layi Aasi Mangde Rahe Duavaavan,

Aaj Kinj Keh Diyan Ke Oh Sajjan Ujjar Jave,

Jihdi Paireen Aasi Phul Vishaey,

Jehar da Kauda Ghut Pita,

Kinj Keh Diyan Oh Rabba,

Mere Dillon Ohda Hun Na Hi Mit Jaye…