Thursday, September 9, 2010
Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..
Lakin wo tera wada jhota bhi nahi lagta..
Milta hai sakoon dil ko us yaar ke koche mai..
Har roz magar jana acha nahi lagta..
Dekha hai tujhe jab se bechain bohut hai dil..
Kehne ko koi tujh se rishta bhi nahi lagta
Kyu Mere Liye Koi Intzar Karega,
Apni Zindgi Mere Liye Bekrar Karega.
Me Kya Hu Meri Hasti Hi Kya Hai,
Kya Dekhkar Humse Koi Pyar Karega !!
Aankh Me Nasha Diya Karte Hai Hum,
Sabki Nende Chura Liya Karte Hai Hum,
Ab Se Jab-Jab Palke Jhapke,
Samajh Lena Tab-Tab Yaad Kiya Karte Hai Hum !!
Raat Ke Karwaton Ko Badgumani Hai,
Jo Bhi Chahe Kar Le Manmani Hai,
Sawarata Hai Ishq Raat Ki Julfon Mai,
Pyaar Se Liptne Ki Chahat Hi Jindagani Hai !!
Uski Dosti Me Ye Naubat Aa Gai,
Thandi Hawa Bhi Hume Jala Gai,
Hawa Kehti Hai Tum Yaha Taraste Hi Reh Gaye,
Mein Tumhare Dost Ko Chhoo Kar Bhi Aa Gai!!
Tum Me aur Meri Tammana Me Ek Hi Fark Tha
Tum kabhi Meri Na Ho Saki aur Me kabhi tammana ka na ho saka
aisha pather sa ho gaya me na jee Bhar Ke hash saka na ro saka
tum me he thi koi baat ae yaar
tum kitno ke ho gaye me kisi ka na ho saka
tumne pero liye sab khushiya daman me
aur ek me ke gum bhi dhaage me na piro saka
Sach Kehte Hain Ye Shayar,
Yeh Haseen Jinke Dil Mein Rehte Hain,
Ye Unhi Ki Jaan Lete Hain.
Unki Aankhe Hume Apni Zindagi Lagti Hai
Unki Saanse Hume Apni Bandagi Lagti Hai
Ashiqi Mein Unki Humara Haal Kuch Iss Tarah Hua Hai
Ki Ab Toh Unki Nafrat Bhi Humme Mohabbat Si Lagti Hai
Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Din Ghoote Ghoote, Shamein Dhuaan Dhuaan Ho Gayi
Aur Raatein, Intezar Ki Tere Dastan Ho Gayi
Kahan Se Dhundhkar Layun Sakoon Dil Ka Apne
Zindagi Jab Dard Ki Ek Dastan Ho Gayi
Bewafa Bankar Kaise Jee Lete Hain Log Hanskar
Is Raj Ko Jaan-ne Mein Hi Hasti Fanna Ho Gayi
Main Kab Tak Bharm Mein Rakhun Khud Ko
Duniya Kehne Lagi Ki Tu To Bewafa Ho Gayi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gharaunde Rait Ke Kabhi Na Banana Yaaro
Dekh Ke Surkh Kamal, Keechad Me Na Jana Yaaro
Mohabaat To Ek Khubsurat Dokha Hai
Bhul Kar K Bhi Ye Dhokha Na Khana Yaaro
Humne To Galti Ye Ki Unse Mohabaat Karke
Ye Galti Tum Na Dohrana Yaaro
Wafa Ka Sila Yoon Bewafayi Se Mila
Kaisa Jakham meine Khaya Hai Yaroo
Kiya faisla karon us ke bare mai ab..
Wo ghair nahi lakin Apna Bhi Nahi Lagta..!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment