Monday, November 22, 2010



Zindagi ek paheli se lagti hai,
Har lamha ek saheli si lagti hai,
isme kabhi aansu to kabhi gam hai,
jise soch kar aaj meri aankhe nam hai.
**************************************************
Chand utra tha hamare aangan mein,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila karein,
jab chand hi hamara na hua
**************************************************
Bahut khusnuma kal ki raat guzri, kuch tanha par kuch khaas guzri, na neend aayi na khwaab koi, bas aapke hi khayalon ke saath guzri
**************************************************
Har phool ki ajab kahani hai, chup rehna bhi pyar ki nishani hai, kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu dard ka ehsaas hai, lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai
*************************************************
Dooriyan bahut hain par itna samajh lo, paas rehkar bhi koi rishta khaas nahi hota. Tum dil ke itne paas ho ki dooriyon ka ehsaas nahi hota
*************************************************
Phir na simtegi agar dosti bikhar jayegi, zindagi zulf nahi jo phir se sanwar jayegi, jo khushi de tumhe thaam lo uska daaman, zindagi roke nahi hasske guzar jayegi
*************************************************
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya, auro ko to kya humko bhi tabah kiya. Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko, auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya .
*************************************************
Chot khate hain aur muskurate hain, is dil ko sabar karna sikhate hain. Hum to gham lekar bhi yaad rakhte hai, aur ek woh hain jo gham dekar bhi bhool jate hain .
************************************************
Dil tootega to fariyaad karoge tum bhi,
hum na rahe to humein yaad karoge tum bhi.
Aaj kehte ho hamare paas waqt nahi, par ek din mere liye waaqt barbaad karoge tum bhi


जिन्दगी रोज़ आजमाती है
जिन्दगी रोज़ आजमाती है,
नित नए गुल खिलाती है
जिनको बामुश्किल भूला,
उनकी फिर याद दिलाती है
कभी गम के माहौल मै ख़ुशी देती है,
और कभी माहौले ख़ुशी गम देती है
कल जो दिखाते थे खंजर हमको,
आज पहना रहे हैं हार हमको
कल जो देखते थे साथ मैं चाँद,
आज हिलाते हैं चाँद से हाथ
जिन्दगी का खेल कमाल का है,
मसला ये "निरंतर" हर जान का है
जिन्दगी रोज़ आजमाती है,
नित नए गुल खिलाती है

ये वक़्त ही बताएगा
मजारों मैं सोये हुए हैं,अच्छे और बुरे
प्यार और नफरत के चहेते,रंगीन और बदरंग चेहरे
किस्मत किसी की, बदकिस्मती किसी क़ी,
यह मजबूरी ही है, बगल मैं कौन किसके लेटे
कोई बता नहीं सकता, आज क़ी दूरी होगी
क्या कल क़ी नजदीकी?
कोई कह नहीं सकता, आने वाले वक़्त का अहसास
कभी हो नहीं सकता, वक़्त तो वक़्त है
वक़्त पर ही बताएगा, किस का होगा क्या अंजाम
ये वक़्त ही बताएगा

Yaadein
Teri chahat me aksar
is kadar gujar jata hu main
ki milon dur hone par bhi
tere dil me simat jata hu main
jab teri tanhai pesh-e- nazar pata hu
to thandi thandi chand aahen
bhar kar rah jata hu main
haye ye alfaz jo kabhi
labon se bayan hote nahi aur
aansu jinhe sirf aankho se pi jata hu main

No comments:

Post a Comment